Thursday, January 14, 2010

Kuch Jaane Pehchaane Chehre

Yunhi aaj bahut dinon baad phir se maine subah 8:15 ki local li.......
Apne chir parichit dabbe main chadhi..... aankhein anayas hi dhoondne lagi..
Us school teacher ke gang ko.... us pyaari dadi ko apne pote ke saath...
KC college ki us stylish ladki ko... bina shabdon ke jo roz naye navele fashion trends ka gyaan de deti thi....
Us nayi naveli punjabi dulhan ko, jiski sagaai se shaadi tak ka safar hum sab ne uski phone vartaalap se tay kiya tha...
Mere office ki building main hi kaam karne waali parsi madam ko jo bina naga humesha pyaari si muskurahat deti thi...
Aur main dhoondne lagi us choti ladki ko jo rang birangi chudiyaan liye us dabbe main roz rehti thi,,,
Chickoo bechne waali boodhi amma,,,, Khakhre bechti gujju ben....Maxi bechti hui woh christian granny


Bahut dhoonda.... aaj koi nahi tha...... 6 mahine aur sab kuch naya.....
Aur anayaas hi mujhe yeh dabba begaana lagne laga, sab naye chehre...
Aur anayaas hi dil main ek tees uthi aur yaad aaya, "aadmi musafir hai, aata hai jaata hai....."
Aaj yakeen ho gaya, hum sab musafir hi hain, aur yeh sansaar ek dharamshaala...
Par yeh bhi sach hai ki in mook aur alakshit doron se hi yeh sansaar sansaar hai aur hum jaanwaron se bhale...

Main shayad kal phir se taxi se jaaon kyunki woh dabba mere liye ab aparichit hai,,, shayad woh un aparichit logon ka moh tha jo mujhe aaj train ki or kheenche le gaya.... us train ka akelapan meri taxi ke akelepan se jyada bojhil tha...... Ya shayad main koshish karoon aur naye chechron ko jaane pehchaane chehron main tabdil kar doon.... pata nahi.....

9 comments:

Teens to Toons said...

nice one...

ridima said...

well written!!

Think think said...

Purane rishte, naye naam. Naye log lekin rishte wahi purane waale. Is naye purane ki kashmkash mein doobna hai aur zindagi ki wahi purani paribhasha ko naye sire se seekhna hai. Azmalo, taxi mein theatre ka feeling hai asli drama toh dabbe ki stage mein hota hai. ;)

Nalin said...

When things seem to be going wrong we often look at static things...stars, moon, woods and nature and try to tell ourselves that all isn't lost, there are things which still remain the same.

But when we go back to an old place seeking comfort in familiarity only to find everything changed, that loss is deep and personal.

Abhay said...

Zindagi mein bhut kam log aise hain, jo sikke ke do pehlu(two phases of coin), apni ek hi life mein dekh sakte hai,, u r dere wid sum grace,
only mre nd mre xperience will lightn urzz heart,,, tc
P.S.- Amazing Stuff

Abhay said...

Zindagi mein bhut kam log aise hain, jo sikke ke do pehlu(two phases of coin), apni ek hi life mein dekh sakte hai,, u r dere wid sum grace,
only mre nd mre xperience will lightn urzz heart,,, tc
P.S.- Amazing Stuff

Abhay said...
This comment has been removed by the author.
The Defender said...

good attempt
www.holyking.blogspot.com

Ships said...

very well-written...