Wednesday, July 23, 2008

Abhi nahi aana

Heard this beautiful rendition by Sona mahaptra... could have been sung better i feel...

Abhi Nahi Aana Sajana
Mohe Thoda Marne De...
Intezaar Karne De
Abhi Nahin Aana Sajana

Bhejiyo Sandeshwa , Aap Nahin Aana
Thode Door Rahke, Mohe Tarsana
Abhi To Mein Chahun, Saari Saari Raat Jagana
Abhi Nahi Aana Sajana

Ruk Ruk Aana, Dheere Dheere Chalna
Bhoolna Dagaria, Raste Badalna
Nahi Abhi Mohe,Garwa Nahi Hai Lagna
Abhi nahi Aana Sajana

Abhi Naa Jagao, Bane Raho Sapna
Abhi San-Mukh Naa, Laao Mukh Apna
Abhi To Mein Chahun, Aas Lagaye Rakhna.
Kabhi socha hai kya tumne....
Ki kis path hum chalte hain....
Bas badhawas se ho kar...
Jaise kuch faasle kam karte hain...

Kabhi baithe ho tum..
Kshanik tham kar, ruk kar
Saath chalte sang tumhare...
Kuch anjaane rishte bhi hain

Kabhi maana hai kya tumne...
Ki raah main panthi bhi thakte hain
Bas thokar tumhe nahi....
Kuch pathar unhe bhi milte hain

Kabhi bandhanon ke chakravyuh ko
Bhedne ki koshish karo...
Tum shayad cheer daalo..
Lekin kuch abhimanyu bhi hote hain...

Kabhi shabdon ke bhedon ko...
Samajhna aasan nahi.....
Do pal dekar tum bhi…
Un goodh arthon ko samajhne ki koshish karo…..

Bas kuch pal, kuch kshan, kuch shabd
kuch gam, kuch khwaish, kuch hansi
Kuch yaadein, kuch shikayatein….
Kuch baatein bhi mere naam karo…
Kuch der ruk kar tum….Kuch der tahar kar tum…..