Pyaasi, Pathraai, door tak khinchi hui
Aur uske badan se sati huyi, sekdon nanhi nanhi phaankein,
Toh rahin ho jaise uske jeevan ke veerane ko
Soona astitiva, sooni chah, soona jeevan, nishprem awaas
Chah ek pathik ki, chah ek chirantan sakhi ki
Jaise keh rahi ho, maano to sukhe honth hon, ki
Zindagi se badi sazaa hi nahin
Aur kahin gira diya ek pakshi ne ek daana
Apna saara mamatava, apni saari aadrata
De use, di use ek zindagi, ek chaanv bhi
Kuch bacha nahi, sab luta diya, na dekha apna haal hi
Aur ho bada, khila woh phool, us sookhe registan main bhi
Failaayi apni jadein, kuch tanen, kuch mehekti bayar bhi
Bhar daala us phaank ka khaleepan, uski neeravta..
Jaise chuka raho ho udhaar, apni praandayeeni kaAur phir ek din, bhool gaya, ho gaya leen
Jeevan ki is apaadhaapi main....Reh gayi woh phank phir pyaasi, akeli
Sochti hai, koi aur beej girega uski jholi mainDegi use sneh lutaar, saari mamta, saara pyaar
Aur tab tak, woh jeevit hai, is nishpraan jeevan ke saath
No comments:
Post a Comment