Reh jayegi bas ab yaad is ek saal ki jee tod mehnat, naye dost, naye mukamon ko choone aur tamaam vakyon ki
Hence this definitely calls for a deviation of my usual writing style...
My first poem wid splurges of urdu in it
Kabhi yeh shauk aaya tha humein
Ki chalo kuch barbaad hua jaye,
Kuch shant si behti zindagi ko
tarannum si lehar mil jaye
Reh reh kar khinchte the
kisi tilasmi manzil ki taraf
kuch aise fanse kashmakash main
Ki yahin pahunch gaye hum
kahan samjha tha humne ki azaadi kya hai
Kya hain vichaar; unki seema kahan hai
Jab bandh jaati hai soch, par katte hain
Jab do pal ki tanhaaii ko bhi taraste hain
Hum to aehmaq ban gaye,
is bekaar ki guftgu main
Kyun chod aaye us sukunnat ko
Basne is registaan main
Kabhi rehte the mast,
Is kafil-e-mehfil main;
Aaj hai aalam aisa;
na hum aur na yeh ruh baaki hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
12 comments:
Oh my God...kya likha hai...Godlike :)..gussgow :)
awesum hai... :)
BuZo
thnx shweta .. waise its "gusshow" :D
Thnk u buzo .. :)
"Jab bandh jaati hai soch, par katte hain
Jab do pal ki tanhaaii ko bhi taraste hain"
...mere paas lafz nahi hai baiyaan karne ke liye ki mujhe kaisa laga isse padhke..it is so so beautiful and so very typical of the Sinjhini I know..
waiting to see you soon :)
God bless you..
inn taareef-e-kabil lafzon ki izzat mein innki taareef hum kabhi na kar paate..
par jo kar dii aapne tashreeh ruh kii, hum chhup bhi naa reh paate..
pairon mein baandhe zanzeer, dolte hain hum bhi registaan mein..
aapke haal-e-bayaan ko tafseer kar, bilakhte hain hum bhi apne jahaan mein..
awesome....
pretty hard to frame up in words after reading it...
bravo.... :)
Did i ever tell you that I consider U as my roll model ?! :D
.. about the poem, its lovely.. !
Great, GOD level , awesome...GUSSHOW...everything falls short of the praise it is worth.
I wish I had a brain like Sid to put the praise in the manner it should be...undoubtedly, Seth is GOD.
Great! Sums it up well!
hey awesummly composed
@all: Thanks everyone ;)
Post a Comment